Idfc vyapar vriddhi loan ki hum baat kar rahe hai par iska matlab yah nahi hai ki idfc bank ki taraf se aane wale loan options ya loan products best nahi hai esa hum nahi kah sakte hai kyunki idfc ki taraf se aane wale loan chahe wo personal loan ho ya ho business loan ya iske alawa home loan and etc loan sabhi best works karte hai lekin yaha par hum log idfc bank ke business loan ke micro business loan ke antargat dekhege to hume milega Idfc first bank ka vyapar vriddhi loan to aayiye samajhte hai iss loan ke baare me..!!
Idfc First Bank Vyapar Vriddhi Loan Kya Hai?
To sabse pahle baat kare ki idfc first bank mein Vyapar Vriddhi loan ek prakaar ka business loan hai jisko hum micro loan ya micro business loan ke taur par bhi consider kar sakte hai aur saaath hi yah loan unn sabhi khatadhaark ko milega jinka khata idfc first bank ke saath mein hai aur iske alawa jinka khata nahi bhi hai wo bhii apply karne ka process kha ho sakta hai usko samjh sakte hai yah business loan dene ka main purpose kya hai wo aapko bata de ki jo chhote vyapari hote hai unhen bada business loan nahi mil Pata lekin bhale bada business ke liye loan na mile chhote vyapari ke vyapar ke liye to yah loan mil sakta hai.
Idfc First Bank Vyapar Vriddhi Loan Kitna Milta Hai?
To yah bahut bada sawal bann jata hai ki aakhir yah vyapar vriddhi loan milta kitna hai kyunki diye jaane wale loan amount par yah baat nirbhar karta hai to aapko bata de ki yaha par aapko zyada se zyada loan amount 10 lakh rupaye tak milta hai lekin rooko
Yaha par yah samjhna bhi zaroori hai ki yaha kam se kam amount aapko 60,000 rupay se dekhne ko milega isi ke saath aap mein se kayi logo ki shikayat hoti hai ki mere paas to Koi bhi income proof nahi hai to kya mujhe loan milega to jawab hai haa lagbhag 3 lakh rupay tak loan aapko bina kiso proof of income ke..!!
Idfc First Bank Vyapar Vriddhi Loan Apply Karte Samay Kitna Byaz Lag Sakta Hai?
To bata de ki aapko agar idfc first bank se vyapar vriddhi loan ko jab lene jaayenge to sawal to aana laazmi hai ki aakhir byaz kitna lagega to aapko bata de 12% se lekar 28.85% tak ka salana byaz matlab annually interest rate lagta hai aur iss baat ka pata aapko tab chalega jab aap loan aavedan karenge tabb.
Idfc First Bank Vyapar Vriddhi Loan Kitne Samay Tak Mil Sakta Hai?
To aapko bata de ki idfc first bank vyapar vriddhi loan ko jab aap log le sakte hai to maximum time aapko milta hai 60 months aur ise thoda sa depth mein dekhe to in a year apko 5 years tak ka samay milta hai
Idfc First Bank Vyapar Vriddhi Loan Se Kinko Loan Milega?
Yah samjhana kaafi zaroori hai ki aakhir idfc first bank se vyapar vriddhi loan le kon sakta hai jinka khata hai wahi le sakte hai ya jinka khata wah bhi le sakte hai to aapko bata de ki abhi filhaal ke liye mere ispar mixed reactions honge maybe jinka khata nahi bhi ho unko bhi apply karne ka option mil sakta hai basharte ki aap log branch visit par jaakar baat kare lekin yah samjhne ki baat main hai ki kon le sakta hai idfc first bank se vyapar vriddhi loan to bata de
Ki aapki age kam se kam 21 years se zyada honi chahiye aur 60 saal se kam
Saath hi aap ek bhartiya naagrik arthat indian residency hone chahiye
Aapke paas sabhi valid document it means valid kyc documents hone chahiye
Ab iss valid kyc documents aate hai Aadhar card, pan card, voter ID card etc document aate hai.
Iske alwa business related kya document hai mai aapko batata hoo jo iss vyapar vriddhi loan ko lene ke liye jaroori hota hai
Idfc First Bank Vyapar Vriddhi Loan Lene Ke Liye Documents?
Dekho koi bhi loan ki baat ho uss loan ko lene ke zaroori hoti hai dastavejon ki aur business loan ki baat ho to dastavejo ki sankhya adhik bhi to ho sakti hai chaliye.
Sabse pahle aapko bata doo aapke paas apka kyc documents hona chahiye jaise like Aadhar Card, Pan Card, Other
Yah to Kyc valid document hai iske alawa aapko house residency documents chahiye jaise ki koi ghar aapka khud ka ho aur aap uske owner ho uske proof bhi aapko chahiye
Iske alwa jis bank mein aapka khata hai zaroori nahi hai ki aapka Idfc first bank mein hi account ho hi kisi or bank mein khata ho to uska bank statement bhi dena pas sakta hai ya iske alawa ITR file ka document bhi dena pad sakta hai.
Ab kyunki aapko pata hai ki yah ek micro loan hai to document mein msme documents bhi aane chahiye aur
Saath hi valid udyam registration certificate aapke paas hona chahiye
Idfc First Bank Vyapar Vriddhi Loan 3 Lakh Rupay Tak Lene Ke Liye Documents?
Aapko iss bare mein pahle bhi maine bata rakha hai ki upto 3 lakh rupay tak loan lene ke liye kisi bhi prakar ka income proof nahin lagne wala hai to document mein sirf aapko
Aadhar Card, Pan Card, Etc baaki other valid kyc documents
Iske alawa Msme registration certificate registration aapke paas hona chahiye
Idfc First Bank Se Vyapar Vriddhi Loan Kaise Ke Sakte Hai?
To yaha se matlab Idfc first bank se vyapar vriddhi loan ko lene ke liye sabse pahle aapke paas application form hona chahiye jo ki idfc first bank vyapar vriddhi loan naam ki hi hogi aur saath hi aap iss form ko aap bank mein visit karke bhi paa sakte hai.
Iske alawa documents mein valid kyc documents jo aapke paas honge jo ki upar mention kiya gaya hai to saath hi unhen attach bhi karna padega.
Form opening ke sabse pahle aapko basic details ya yun kaha jaaye personal details aapko fill up karna padega.
Iske alawa employment or business or organization details aapko fill karni padegi.
Yaad rahe jis jis personal details ko aap log fill kar rahe hai uske regarding aapko documents bhi hatho hath attach karna padega.
Iske alawa 2 passport size photograph aapke paas hona hi chahiye saath hi wo 6 mahine se zyada purani nahi honi chahiye.
Saath hi additional documents bhi dene pad sakte hai agar waha required hoga to.
Iske baad poore form ko fill karne ke baad document attach karne ke baad jaake bank mein submit kar dena hai.
Nishkarsh?
To ab ant mein aapko bata doo ki IDFC first bank se vyapar vriddhi loan aap mein se zyadatar log le sakte hai aur kitni aasan eligibility hai yaha se loan lene ke liye even ki agar aap iss baat se darr rahe ho ki aapke paas income related proof nahi bhi hai to bhi aap 3 lakh rupay tak ka loan to le sakte ho. !!
0 Comments