Hamare desh mein kisan kya bhoomika rakhte hai wo shayad mujhe batane ki zaroorat nahi hai isliye nahi hai ki bataya use jata hai jo chhij humare samjah mein shuru se naa ho aur hum jaannr ki cheshta rakhte hai jaise humare liye hawa kya hai hum iska defination de sakte hai kyunki defination dene ke liye bhi to shakti wahi se chahiye jisko hum define karne ki baat kar rahe hai same usi tarike se kisano ka humare jiwan par kya prabhav hai yah samjho maan lo ki humari zindgi ke tin mool bhoot chhije hai jisme aata hai roti, kapda aur makaan maan lo kapde naye na bhi ho to hum gujara kar sakte hai makaan na bhi ho to kahi bhi thahrav le sakte hai par roti ya na hua to humara ant nishchit hi hai aur yah roti banta kis chhij se hai uss gehu se jo humare liye upjate hai humare desh ke kisan agar kisan na rahe to bina ann ke sab apne aap ko samapt kar lenge ..
Lekin ek durbhagya ki baat yah hai ki humare desh mein kisano ko value uss hisab se nahi milti hai jis hisab se milni chahiye kisani karna ek bade jokhimon ka kaarya hai bahut mehnat rakhwali ke baad bhi usko labh ho uss kimat mein anaj bike na bike iss baat ki koi bhi guarantee nahi hoti hai ab ese mein unhen apni kheti ko poora karne ke liye ya uss aajivika ko sampoorna karne ke liye sansadhan chahiye hote hai jo ki wo bina paise ke sambhav hi nahi hai to ese mein bechara ek kisan sahookar ke paas jata hai aur apni jivan bhar ki kamai se ya baap dada ki zamin ko girwi daal ke wah kheti karta hai iss umid se ki jab fasal kar jaayegi to paise wapis karke wah zamin chhuda lega lekin back to the reality sacchai iska palat hai kyunk jaisa environment chije badal rahi hai uski wajah se paidavaar nahi ho paata hai tab iss condition mein zyadatar case mein jo kisan as a loan par kahi se udhar lekar krishi karte hai unke case mein unpat karj badhta jata hai aur saath hi unki bachi khuchi jamin bik jati hai ya unke niyantran se chali jaati hai

Ujjivan Pragati Card Kya Hai?
Ab aese case mein ujjivan small finance bank dwara ek credit card kah lo jo kisano ko muhhaya karata hai jisse unke loan lene se sambandhit bhi madad milti hai jisse unn logo ko kheti karne ke liye apni zamin girwi na dalni pade ya apni jamin na bechni pade aur ab baat karte ha Pragati Card ke bare mein to yah ek kaafi accha kadam hai jisse logo ko apni kisani karne ke liye mudra kharch karne ki baat ho to yaha par yah card sahayata kar sake aur uska prayog jaise ki hum
Bij kharidne ke liye, Fertilizer laane ke liye, Tractor jisse jutai hone mein sahayak ho sake aur uske alawa bhi anya kaamo ke liye credit loan lena ho to yah pragati card sahyog kar sakta hai.
Ujjivan Pragati Card Lene Ka Kya Fayda Hai?
Ujjivan Pragati Card Lene ke to waise kaafi saare faayde hai aur usko hum dhyaan se samajhte hai jisme sabse pahle hum faayde ki baat kare to pahla faayda yah hai ki..
To isme sabse pahla faada ya hai ki aapkoo yaha jo Pragati Card diya jaa raha hai usme aapko jo interest rate lagta hi wo kaai easily aap log chuka sakte hai jo ki yahan par lagne wala interest rate aapko bahut affordable padega jisse logo ko ya intrest chukane mein kisi bhi tarike ki koi dikkat nahi hogi.
Agle important faayde ki baat kare to wo hai doorstep service iska matlab agar aap iss pragati card ka aaveda karte hai to yah aapko aapke diye gaye pate ke anusaar aapke ghar tak send kar denge jisse aapko unki suvidha prapt ho sake .
Ab yah to apne kuch faayde ke cchan ko jaana hai lekin ab yah jaanne ki zaroorat hai ki aapko yah card mein jo credit limit milegi usko kab tak aap chuka sakte hai to bata de ki iske andar kaafi facilities dekhne ko milti hai aur kisan pragati card ke andar sabhi product ke according dekhe bhi to upto 5 years tak ka samay mil jaata hai.
Ujjivan Pragati Card Lene Par Limit Kitni Milti Hai?
Yaha par pragati card ki limitation ki baat kare to alag alag various products ke hisab se yaha par iss card ki limit bhi hai jaise kisan pragati card ke crop loan credit ki baat kare to ₹25,000 rupay se lekar ke ₹1,00,00,000 tak ki credit limit milti hai iske alawa kisan pragati card ke pisciculture loan mein aapko ₹25,00,000 lakh rupay tak ka loan milta ha aur ant mein apko poultry farm loan ke liye aapko yaha se ₹₹2,00,000 rupay se lekar ₹50,00,000 ka loan milta haii.
Ujjivan Pragati Card Lene Par Documents?
To baat agar hum log dastavejo ki kare to aapko mai bata doo ki iss card ko lene ke liye aapko sabse pahle to Kyc documents hi chahiye jisme sabse pahle aata hai aapka Aadhar Card, Voter ID Card, Driving License, Passport jaise document ityadi de sakte hai.
To yaha se aapka basic profile document ka to kaam complete ho jata hai lekin abhi hum apni kheti ke liye loan le rahe hai to uski jamin ke kagjat ko bhi validate karna padega.
Jisme ata hai aapka Jamin ke maalik ka ownership documents or certificate ke copies.
Iske alawa aapke jamin ki tax receipt
Uske saath hi aapke zamin ka possession certificate
Aur any mein ata hai aapka Bhar Bhar praman patr jise hum encumbrance certificate bhi kahte hai.
Ujjivan Pragati Card Repayment?
Ab sabse badi baat loan ho ya credit card ye baat aap bhi jaante hai pahchate hai ki aapko credit card bhi as a loan ke tarike se milta hai to mudde ki baat ki kisan pragati card ka repayment yani limit repayment with interest kaise kaise kar sakte hai to dekho uske kaafi tarike hai kyunki gramin log hi kisani karte hai to online repayment jaisi chij ki facility hone ke baad bhi aapko cash ka option milta hai repayment ke liye
Iske liye aap repayment schedule ka use kar sakte hai isme crops credit wala loan bhi shamil hota hai.
Subsidized Interest Rate ye bhi ek important repayment segment hai.
Term loan repayment ki baat kare to maximum 5 years tak ke liye milta hai
Ujjivan Pragati Card Apply Kaise Kare?
Sabse pahle aapko ujjivan small finance bank ke website par visit karna hai iske baad aapko credit card ya kisan card ke segment ko find karna hai.
Uske baad aapko sabse pahle aapko apna application form fill up karna hoga jiske andar aapkp apni basic details deni padegi jisme aapka naam, address, contact information, kisani related information aadi sammilit hai
Then aapko apne sabhi document ko submit karna hai jisme aata hai aapka Kyc documents jaise aadhar card, pan card, voter ID card etc.
Iske baad land ownership se related documents bhi aapko submit karna hoga jis documents kon kon se hai wo maine upar likhe hai.
Bank statement bhi deni padegi jisse aapko credit limit ko fetching karne mein aasani hogi.
Then iske baad aapko apne application ko submit karna hoga aur jaise hi ujjivan small finance bank iska verification complete karega aur approved paaya jaaayega tab hume humara kisan pragati card mil jaayega.
Conclusion?
To jaisa ki aapne iss Article mein padha ha ki kaise aap log apna ujjivan small finance bank ke maadhyam se kisan pragati card ko paa sakte hai aur usme humne eligibility se lekar documents ko lekar aur sabse mahtavpurn loan apply karenge iske baare mein bhi baat kiye hai jisse hume kaafi gahanta se samjha hai.
0 Comments